Tuesday, December 11, 2007

Kholo Kholo


Taare Zameen par might be a meaningful movie. But, I am not writing any review here, I obviously cannot write one before the release.


But the song I find most meaningful goes like this:

kholo kholo darwaze, parde karo kinare, khoonte se bandhi hai hawa, milke churayo sare.
aa jao patang le ke, apne hi rang le ke, aasman ka shamiyana aaj humein hai sajana.

kyun is kadar, hairan tun,
mausam ka hai mehmaan tun, duniya saji tere liye
khud ko zara pehchaan tun.
tun dhoop hai, cham se bikhar,
tun hai nadi oo bekhabar,
beh chal kahin, ud chal kahin,
dil khush jahan, teri to manzil hai wahi.

Basi zindagi udasi tazi, hansne ko razi garma garam sari abhi bhi hai utari.
zindagi to hai patasha, meethi meethi si hai aasha, chakh le rakh le hatheli se dhak le ise.
tujh mein agar pyaas hai, baarish ka ghar bhi paas hai.
roke tujhe koi kyun bhala, sang sang tere aakaash hai.
tun dhoop hai, cham se bikhar,
tun hai nadi oo bekhabar,
beh chal kahin, ud chal kahin
dil khush jahan, teri to manzil hai wahi.

khul gaya, aasmaan ka rasta dekho khul gaya.
mil gaya, kho gaya tha jo sitara mil gaya , mil gaya.
raushan hui sari zameen, jagmag hua sara jahan,
ho udne ko tun azaad hai,
bandhan hai koi ab kahan
tun dhoop hai, cham se bikhar
tun hai nadi oo bekhabar,
beh chal kahin, ud chal kahin
dil khush jahan, teri to manzil hai wahi.

kyun is kadar, hairan tun,
mausam ka hai mehmaan tun.

Sung by Shankar and music from Shankar, Ehsaan & Loy. You can download the song from here.

No comments: